sabz maddham roshanii me.n surKh aa.Nchal kii dhanak
sard kamare me.n machalatii garm saa.Nso.n kii mahak
baazuuo.n ke sakht halqe me.n koii naazuk badan
silvaTe.n malabuus par aa.Nchal bhii kuchh Dhalakaa huaa
garmii-e-ruKhasaar se dahakii huii Thaa.nDii hawaa
narm zulfo.n se mulaayam u.Ngaliyo.n kii chhe.D chhaa.D
surKh hoTho.n par sharaarat ke kisii lamhe.n kaa aks
reshamii baaho.n me.n chuu.Dii kii kabhii maddham dhanak
sharmagii.n lahajo.n me.n dhiire se kabhii chaahat kii baat
do dilo.n kii dha.Dakano.n me.n guu.Njatii thii ek sadaa
kaa.npate hoTho.n pe thii allaah se sirf ek duaa
kaash ye lamhe Thahar jaae.n Thahar jaae.n zaraa
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment