Saturday, June 14, 2008

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

gar Kabhi Meri Yaad Aaye
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
To Chaand Raaton Ki Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
Tumharay Kadmoon Aagiray To Yeh Jaan Laina
Woh Istiaara Tha Meray Dil Kaa
Agar Naa Aaye?…..
Magar Yeh Mumkin Hi Kis Tarha Hai Kay Kisi Par Nigah Daloo
Too Us Ki Deewaar-E-Jaan Naa Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye!!
Agar kabhi Meri Yaad Aaye
Garaiz Karti Hui Hawaoon Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main Tumhain Miloon Gaa
Mujhay Gulaab Ki Patioon Main Talaash Karna
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous Khushbhuoon Main
Naa Paoo Mujh Koo
To Apnay Kadmoon Main Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon Main Tumhain Miloon Gaa
kahin Pay Roshan Chiraagh Dekh Loo To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar Sumandar Main Safar Karoon Gaa
Kisi Naa Dekhay Huay Jazeeray Par Ruk Kay Tumhain Sadain Doon Gaa
Sumandaroon Kay Safar Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna

No comments: